People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

Sunn Mere Sai Baba
Music: Sonik Omi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Agent-009/Sun-Mere-Sai-Baba/B
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
aayi tere main dwar sunle meri pukar
jinda rahe mera pyar
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
sun mere sai baba

jisne tujhko dil se pukara
usko tune diya hai sahara
mere sai baba sai
jisne tujhko dil se pukara
usko tune diya hai sahara
dede jivan ka daan mere sai bhagwan
dede jivan ka daan mere sai bhagwan
tute na ye aitbaar, jinda rahe mera pyar
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
sun mere sai baba

preet ki jyot meri bujhne na paye
tune to pani ke deep jalaye
mere sai baba sai
preet ki jyot meri bujhne na paye
tune to pani ke deep jalaye
meri bigdi bana de bujhti jyot jaga de
meri bigdi bana de bujhti jyot jaga de
teri shakti apaar, jinda rahe mera pyar
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
sun mere sai baba
tujhme hai kashi ka waas
ho aayi tere main dwar sunle meri pukar
jinda rahe mera pyar
sun mere sai baba, sun mere sai baba
sun mere sai baba, sun mere sai baba
Tumne Mardo Ki Dekhi Sarkar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hafta-Vasuli/Tumne-Mardo-Ki-D
are haan hum jo taali baja ke
nachte gaate firte
sabhi ke waste
maalik se duaye karte
are haan rukha sukha
jo mile kha ke din bitate hai
zamane bhar ke gande
naaz hum uthate hai
haan hum bhi insaan hai
iss mulk ki riyaya hai
humne bhi huke insaan hi
tumsa hi paya hai

tumne mardon ki dekhi sarkar
tumne mardon ki dekhi sarkar
aur janane ki dekhi sarkar
ab bich walo ki bhi dekh lo
tumne mardon ki dekhi sarkar
aur janane ki dekhi sarkar
ab bich walo ki bhi dekh lo
tumne aadmi pe kiya aitbar
tumne aurat pe kiya aitbar
tumne aadmi pe kiya aitbar
tumne aurat pe kiya aitbar
ab bich walo ka bhi kar lo
tumne mardon ki dekhi sarkar
aur janane ki dekhi sarkar
ab bich walo ki bhi dekh lo
ab bich walo ki bhi dekh lo

koi sher khaye haan jee
koi khaye hawala haan jee
koi khaye uriya haan jee
koi khaye achara haan jee
sher hawala chara aur ek uriya
aur ek uriya aur ek uriya
aajkal siyasat mein
yeh kya roj ho riya
yeh kya roj ho riya
yeh kya roj ho riya
hum yeh sab bandh karde
humko jo vote do
kehti hai chhaya
in purano ko chhot do
tumne ek ki bhi dekhi sarkar
aur aneko ki dekhi sarkar
ab chhakko ka kamal dekh lo
tumne mardon ki dekhi sarkar
aur janane ki dekhi sarkar
ab bich walo ki bhi dekh lo
ab bich walo ki bhi dekh lo

tum neta banoge aaje
tum ledar banoge aaje
tum mantri banoge aaje
phir raj karoge aaje
tum riswat loge na jee
tum paap karoge na jee
tum loge kamison na jee
tum daga na doge na jee

kasam ghandhi ki
chacha nehru ki kasam hai
chacha nehru ki kasam hai
chacha nehru ki kasam hai
humko subhash
bhagat singh ki kasam hai
bhagat singh ki kasam hai
bhagat singh ki kasam hai
hum inke sapno ko pura karenge
desh ke liye hi jeeyenge aur marenge
tumne sansad ki dekhi takrar
raaj sabha mein bhi dekhi maramar
ab hijado ki panchayat dekh lo
tumne mardon ki dekhi sarkar
aur janane ki dekhi sarkar
ab bich walo ki bhi dekh lo
ab bich walo ki bhi dekh lo
Tere Mere Pyar Ki
Singer: Mukesh, Kanchan
Tag: Hindi
Video:
tere mere pyaar ki bandh gayi
jab yeh dor macha dunga shor
jamaana chaahe jo kahe so kahe
tere mere pyaar ki bandh gayi
jab yeh dor macha dunga shor
jamaana chaahe jo kahe so kahe
dhire dhire bol piya hai yeh aapas
ki baat mila teraa saath
jamaana kahi yeh sahe naa sahe

baaho me teri yeh baahe rahengi
are baaho me teri yeh baahe rahengi
toh thokar me hoga jamaana
thokar me hoga jamaana
dil ki yeh baate rahne do
dil me kya hai jaruri jataana
kya hai jaruri jataana
mai naa kahunga toh duniya kahegi
mai naa kahunga toh duniya kahegi
yah baat ek din toh khulke rahegi
dhire dhire bol piya are
dhire dhire bol piya hai yeh aapas
ki baat mila teraa saath
jamaana kahi yeh sahe naa sahe
tere mere pyaar ki bandh gayi
jab yeh dor macha dunga shor
jamaana chaahe jo kahe so kahe

dekho hamaare dil mil gaye hain
dekho hamaare dil mil gaye hain
dil ke sahaare chalenge dil ke sahaare chalenge
ham jo chalenge chalengi bahaare
saare sitaare chalenge saare sitaare chalenge
duniya toh jalti hai jalti rahegi
duniya toh jalti hai jalti rahegi
magar pyaar ki rasm chalati rahegi
tere mere pyaar ki bandh gayi
jab yeh dor macha dunga shor
jamaana chaahe jo kahe so kahe
ho tere mere pyaar ki bandh gayi
jab yeh dor macha dunga shor
jamaana chaahe jo kahe so kahe
O Rang Rasiya
Singer: Kanchan
Tag: Hindi
Video:
o rang rasiya rey o rang rasiya
mai to sham se baithi thi dil tham ke baithi thi
tere naam ka baithi thi saingar kar ke
par tu aaya na harjai maine sari raat gavai
meri aankhiya bhar bhar aai intzar kar ke

mai to sham se baithi thi dil tham ke baithi thi
o rang rasiya rey o rang rasiya
na nadan tune na jani na nadan tune na jani
mai to aas lagaye deep jalaye baithi thi chobare
vade jhuthe nilkle sare naina nain laga kar hare
so gaye ginte ginte taare man mar kar ke
mai to sham se baithi thi dil tham ke baithi thi
o rang rasiya rey o rang rasiya

pehchan mere dil jani sab ko dekar dhokha pa kar mauka
tod kar aai ye pal me tutege ye pahare
pile pad jayenge chahere aise bhag
karungi tere dank maar dekh
mai to sham se baithi thi dil tham ke baithi thi
tere naam ka baithi thi saingar kar ke
o rang rasiya rey o rang rasiya
Teri Panaah Mein Hame-1
Album: Panaah(1992)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Panaah/Teri-Panaah-Mein-Humein-Rakhna---Female/CR0fWTpkXGU
Video:
teri panah me hume rakhna
sikhe hum nek raah par chalna
teri panah me hume rakhna
sikhe hum nek raah par chalna

kapat karam chori beimaani
aur hinsa se humko bachana
kapat karam chori beimaani
aur hinsa se humko bachana
naale ka ban jaaun na pani
naale ka ban jaaun na pani
nirmal ganga jal hi banana
apani nigah me hume rakhna
teri panah me hume rakhna
teri panah me hume rakhna
sikhe hum nek raah par chalna

kshamawaan koi tujhsa nahi
aur mujhsa nahi koi apradhi
kshamawaan koi tujhsa nahi
aur mujhsa nahi koi apradhi
puny ki nagri me bhi maine
puny ki nagri me bhi maine
paapo ki gathri hi bandhi ho o
karuna ki chhanw me hume rakhna
teri panah me hume rakhna
teri panah me hume rakhna
sikhe hum nek raah par chalna
Thoda Matke Se Paani
Album: Panaah(1992)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Panaah/Thoda-Matke-Se-Paani-Zara-De/MwMEAR9EU2c
Video:
thoda matake se paani jara de goriye
mai toh kab se hu pyaasa khada de goriye
thoda matake se paani jara de goriye
jaa jaa mataki naa chhuna javaan chhore
jaa jaa mataki naa chhuna javaan chhore
paani pine ke bahaane daalega dore
jaa jaa mataki naa chhuna javaan chhore
thoda matake se paani jara de goriye

gahare gahare kune kaa thanda thanda paani
thoda sa pila de teri hogi meharabaani
too hai harajaayi teri jhuthi hai kahaani
chor lafange tujhe kaun de javaani
kaun de javaani
koyi rasta hame bhi dikha de goriye
mai toh kab se hu pyaasa khada de goriye
thoda matake se paani jara

yu hi chala jaaunga bahut pachhataayegi
aisa dilvaala kahi dhundhe se naa paayegi
jaayega too kaise mai jaane nahi dungi
jaayega too kaise mai jaane nahi dungi
pyaar se rokhungi najar se pilaaungi
najar se pilaaungi
la pila de pila de pila de goriye
puri mataki kaa paani pila du chhore
Kabhi Lage Ke
Album: Panaah(1992)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Panaah/Kabhi-Lage-Ke-Yeh-Saara-Sach-Hai/BjI7WCJbW3A
Video:
kabhi lage ke ye sara sach hai
kabhi lage ke ye sara jhuth hai
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi
kabhi lage ke ye sara sach hai
kabhi lage ke ye sara jhuth hai
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi

raste to hai par manzil nahi hai
kashti mili par sahil nahi hai
raste to hai par manzil nahi hai
kashti mili par sahil nahi hai
maujo me hi jeena hai
maujo me hi marna hai
tufano se yaari kar ke
ae hey kabhi lage ke ye sara sach hai
kabhi lage ke ye sara jhuth hai
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi

hum ji rahe hai yu zindagi ko
jaise andhera hai jeeye roshni ko
hum ji rahe hai yu zindagi ko
jaise andhera hai jeeye roshni ko
kahi zanzir nahi
phir bhi bandhe hai sab
jane kaisi kaisi dor se
hey kabhi lage ke ye sara sach hai
kabhi lage ke ye sara jhuth hai
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi

pyasi pyasi aankho me sapne sanjoke
dekha kiye kisi ko diwane hoke
pyasi pyasi aankho me sapne sanjoke
dekha kiye kisi ko diwane hoke
apne sitare gardish me rahe hai
hum kaise ikarar karte
ae kabhi lage ke ye sara sach hai
kabhi lage ke ye sara jhuth hai
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi
ye kaisi hai zindagi
De De Na Mujhko
Singer: Asha Bhosle
Album: Panaah(1992)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Panaah/De-De-Na-Mujhko-Mere-Yaar/GiwvQjMCcVs
Video:
de de na, de de na mujhko mere yaar
de de na, de de na mujhko mere yaar
chhota sa ye dil tera aur thoda sa pyar
de de na, de de na mujhko mere yaar

tumne to lut liya humko najar mila
diwane hum ho gaye ab kya kare bhala
tumne to lut liya humko najar mila
diwane hum ho gaye ab kya kare bhala
tumhe iska sila denge
wo jaan peela denge
madhosh bana denge
utrega na zindagi bhar chadha jo nasha
nasha nasha
de de na, de de na mujhko mere yaar
de de na, de de na mujhko mere yaar
chhota sa ye dil tera aur thoda sa pyar
de de na, de de na mujhko mere yaar

ishq ki ye mehfil hai husn hua mehma
aas pass dilwale hai raat bhi hai jawa
ishq ki ye mehfil hai husn hua mehma
aas pass dilwale hai raat bhi hai jawa
dil dhak dhak karta hai bin karan darta hai
jo waqt gujarta hai
hatho me aata hai dekho na mera jiya
jiya jiya
de de na, de de na mujhko mere yaar
de de na, de de na mujhko mere yaar
chhota sa ye dil tera aur thoda sa pyar
de de na, de de na mujhko mere yaar
Reshmi Zulfe Aankh Sharabi
Singer: Alisha Chinai
Album: Panaah(1992)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Panaah/Reshmi-Zulfen-Aankh-Sharaabi/Ey8EfBVvB2c
Video:
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi
thoda sa mausam bhi hai diwana
husn hai kaatil mera
ban na jaye koi fasana
dil ko bachana jara
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi

kaun aa gaya mehfil me dil dhadka hai
shola sa is dil me aag ka bhadka hai
ek hasina itne diwane
ab kya hoga koi na jane
dekho na anshuman dhua dhua hai
aag lagi hai kahan
najar se mili najar to
girne lagi bijliya
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi

shram ka shisha tut ke chaknachur hai
tu aise main kaise humse dur hai
baaho me lele pass to aaja
pyar peela de pyas bujha ja
aaja ke main hu teri kahani
tu hai fasana mera
aa milke hum ek ho le
kya hai irada tera
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi
thoda sa mausam bhi hai diwana
husn hai kaatil mera
ban na jaye koi fasana
dil ko bachana jara
reshmi julfe aankh sharabi
honth sharbati raat gulabi